chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein
koi to phul khilae dua ke lahje mein
main us ki qadr karunga jo mere aibon ko
mere hi munh pe kahe aashna ke lahje mein
zamana aaj bhi qasir hai ye samajhne se
safar ki baat hui kyun hawa ke lahje mein
hamare dard ka andaza us ko kya hoga
ki ashk hote nahin hain wafa ke lahje mein
hai e'tiraf ki akasr ulajh paDe jis se
wo mehrban hua hai dua ke lahje mein
meri nazar mein raha hai jo mohtaram 'anjum'
wahi hai mujh se muKHatab saza ke lahje mein
Ghazal
Chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein
Ghayas Anjum