chhup ke ghar ghair ke jaya na karo
rabt har ek se baDhaya na karo
ai buto baal banaya na karo
sanp hathon pe khelaya na karo
sabza-e-KHat ko dikhaya na karo
tote hathon ke uDaya na karo
rind gham hijr ka khaya na karo
jaan ko apni khapaya na karo
tazkira ghair ka laya na karo
jale ko aur jalaya na karo
munh ko ghunche ke chiDaya na karo
gul ko khilli mein uDaya na karo
muddaa jo ho zaban se kaho saf
harf-e-matlab ko chabaya na karo
apna samjho mera dil shauq se lo
meri jaan apna paraya na karo
mujh ko bhi yaad hain fiqre sahib
joD bande pe banaya na karo
KHud main dam-baz hun hai dhyan kidhar
mujh ko fiqron mein uDaya na karo
hosh mein aao pari-zado tum
mujh ko diwana banaya na karo
hum lahu thuk ke mar jaenge
lali honTon pe jamaya na karo
log saudai hue jate hain
dhaDi missi ki lagaya na karo
ho na angusht-numa misl-e-hilal
jaan nauchandi mein jaya na karo
ai buto apne KHuda ko mano
kaba-e-dil ko to Dhaya na karo
main to hazir hun wafadari mein
tum karo mujh se wafa ya na karo
dhoke dariya mein bhabuka se hath
aag pani mein lagaya na karo
mujh se KHalwat ki mulaqat rahe
roz jalwat mein bulaya na karo
waste bande ke bad-nami hai
jaan sohbat mein biThaya na karo
dekhne walon ki jaanib dekho
is tarah aankh churaya na karo
sharm beja hai bura karte ho
achchhi surat ko chhupaya na karo
jao dariya pe na tum ghair ke sath
aise meinDhe to laDaya na karo
dant pisa na karo aashiq par
jaan yun honTh chabaya na karo
chaar din wasl mein hans lene do
aaTh aaTh aansu rulaya na karo
log bad-waza kahenge tum ko
mele-Thele kabhi jaya na karo
jaan kis kaam ka ye bhola-pan
dam mein har ek ke aaya na karo
aashiqon ki buri gat hoti hai
tum sitari to bajaya na karo
hazrat-e-dil yahi farmate hain
ishq-e-mashuq chhupaya na karo
KHush nahin aata agar mera kalam
to ghazal bhi meri gaya na karo
thamo ab qabza-e-shamshir ai 'rind'
koft par koft uThaya na karo
Ghazal
Chhup ke ghar ghair ke jaya na karo
Rind Lakhnavi