chhup kar na rah sake nigah-e-ahl-e-fan se hum
mahfil mein jhankte hain naqab-e-suKHan se hum
kam-baKHt DhunDhti hai mohabbat mein falsafa
tang aa gae hain aql ke diwana-pan se hum
talKHi-e-zindagi mein bhi pane lage miThas
aajiz hain apni fitrat-e-kaam-o-dahan se hum
paida kiya hua hai hamara hi sab farogh
begana kuchh nahin hain teri anjuman se hum
ai mahw-e-naz aur naya koi imtihan
ukta gae hain bazi-e-dar-o-rasan se hum
ek zarra hi sahi magar ai aaftab-e-naz
sajde kara rahe hain teri har kiran se hum
dete rahe fareb-e-manazir ke but-kade
dekha kiye tujhe nigah-e-but-shikan se hum
uThna hamara tha ki sabhon ki nazar uThi
kuchh jaise le chalun hun teri anjuman se hum
ubhra nahin hai sadgi-e-girya ka mazaq
mahfil ye chahti hai ki roen bhi fan se hum
Ghazal
Chhup kar na rah sake nigah-e-ahl-e-fan se hum
Parvez Shahidi