اردو हिंदी
Chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai | Shaahi Shayari
chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai

Ghazal

Chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai

Ameer Imam

;

chhup jata hai phir suraj jis waqt nikalta hai
koi in aankhon mein sari raat Tahalta hai

champai subhen pili do-pahren surmai shamen
din Dhalne se pahle kitne rang badalta hai

din mein dhupen ban kar jaane kaun sulagta tha
raat mein shabnam ban kar jaane kaun pighalta hai

KHamoshi ke naKHun se chhil jaya karte hain
koi phir in zaKHmon par aawazen malta hai

raat ugalta rahta hai wo ek baDa saya
chhoTe chhoTe sae jo har sham nigalta hai