chhup-chhup ke tu 'shad' us se mulaqat kare hai
nadan wo ek ek se teri baat kare hai
kuchh mere bigaDne se chale jate the atwar
achchha hai jo tu tark-e-inayat kare hai
tu mujh se jo karta hai wo rahti hai mujhi tak
jo main karun ek ek se to wo baat kare hai
ranjish se to nafrat ki KHalij aur baDhegi
aa pyar karen pyar karamat kare hai
jo abr bhi uThta hai kisi wadi-e-gham se
wo kisht-e-masarrat hi pe barsat kare hai
DhiTai to is daur mein panpe phale-phule
ro-ro ke sharafat basar auqat kare hai
deta bhi jo hai 'shad' sila koi wafa ka
to is tarah jaise koi KHairaat kare hai
Ghazal
Chhup-chhup ke tu shad us se mulaqat kare hai
Shad Bilgavi