chhoTi si ye baat sahi par khinche hai ye tul miyan
jiwan bhar ka rog bane hai do aankhon ki bhul miyan
kanTon ne jo zaKHm lagae wo mana bhar jaenge
un zaKHmon ko kaise bharoge jin ko lagaen phul miyan
sukh DhunDoge dukh paoge prit ke badle jalte aansu
rit yahi is jag ki pyare is jag ka mamul miyan
pyar wafa ka chalan na ho gar dil se dil ko rah na ho
aisi rawish to is duniya ko kar degi majhul miyan
rup ki dewi ram na hogi chilla khincho jog karo
lakh lagao tum aankhon se un charnon ki dhul miyan
'sayyad'-ji ke git kabat sab sunte hain sar dhunte hain
prem-katha ke rasiya ek din kholenge school miyan

Ghazal
ChhoTi si ye baat sahi par khinche hai ye tul miyan
Syed Shakeel Desnavi