chhoTi si be-ruKHi pe shikayat ki baat hai
aur wo bhi is liye ki mohabbat ki baat hai
main ne kaha ki aae ho kitne dinon ke baad
kahne lage huzur ye fursat ki baat hai
main ne kaha ki mil ke bhi hum kyun na mil sake
kahne lage huzur ye qismat ki baat hai
main ne kaha ki rahte ho har baat par KHafa
kahne lage huzur ye qurbat ki baat hai
main ne kaha ki dete hain dil tum bhi lao dil
kahne lage ki ye to tijarat ki baat hai
main ne kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam
kahne lage ki ye to tabiat ki baat hai
Ghazal
ChhoTi si be-ruKHi pe shikayat ki baat hai
Qamar Jalalabadi