chhoTi hi sahi baat ki tasir to dekho
thoDa sa magar zahr-bujha tir to dekho
pal bhar mein bikhar jaenge miTTi ke gharaunde
bachchon ki magar hasrat-e-tamir to dekho
kis kis ke taaqub mein bhaTakti rahi aankhen
TuTe hue ek KHwab ki tabir to dekho
lauT aaenge phir ghar ki taraf sham ko panchhi
pairon se lipaTti hui zanjir to dekho
nikli jo bhanwar se to musafir the nadarat
TuTi hui is naw ki taqdir to dekho
Ghazal
ChhoTi hi sahi baat ki tasir to dekho
Iqbal Anjum