chhoTe baDe bure bhale din raat ke liye
har shai hai sirf surat-e-haalat ke liye
maujud hain is aaina-KHana mein har taraf
mere hi aks meri mulaqat ke liye
jo baat sochne ki hai kab sochta hun mein
kab sochta hai koi meri zat ke liye
phirti hain dil mein suraten qurb-o-jawar ki
aabaad hai ye shahr mazafat ke liye
chhoTe se peD ki jaDen jati hain dur dur
sahra mein rizq DhunDne har pat ke liye
main ruk gaya chaDhi hui naddi ke samne
kuchh waqt mere pas tha barsat ke liye
hum log hain saleT pe likkhe hue 'nasim'
miTna paDega agle sawalat ke liye

Ghazal
ChhoTe baDe bure bhale din raat ke liye
Naseem Abbasi