chhoDiye chhoDiye ye baaten to afsane hain
hum bhi diwane hain jo aap ke diwane hain
mar ke bhi aap ko ruswa nahin hone denge
jal ke bad-nam jo karte hain wo parwane hain
aaj insan ne bhula Dale hain yazdan ke karam
hum ne to zulm bhi ehsan tere jaane hain
yun to sae ki tarah sath wo rahte hain mere
phir bhi mahsus ye hota hai wo begane hain
mera izhaar-e-mohabbat na samajh pae aap
ye mere dukh ye mere dard to anjaane hain
Ghazal
ChhoDiye chhoDiye ye baaten to afsane hain
Hameed Jazib