chhoDiye baqi bhi kya rakkha hai un ke qahr mein
jaan durweshon ko pyari hai hamare shahr mein
dekhiye kya hashr hota hai hamara dahr mein
shahryari ki tamanna aur tere shahr mein
dekhne wale ko sara hi samundar chahiye
sochne wala samundar soch le ek lahr mein
dekhiye tasir KHali zahr mein hoti nahin
zindagi sukhi mila kar khaiga zahr mein
un se yun tashbih deta hun ki wo bhi dur hain
warna kya milta hai tujh mein aur mah o mahr mein
tangi-e-haiat se Takraata hua josh-e-mawad
shaeri ka lutf aa jata hai chhoTi bahr mein
Ghazal
ChhoDiye baqi bhi kya rakkha hai un ke qahr mein
Shuja Khaavar