chhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka
dil hai ki nahin manta nadan kahin ka
jaen to kahan jaen isi soch mein gum hain
KHwahish hai kahin ki to hai arman kahin ka
hum hijr ke maron ko kahin chain kahan hai
mausam nahin jachta hamein ek aan kahin ka
is shoKHi-e-guftar par aata hai bahut pyar
jab pyar se kahte hain wo shaitan kahin ka
ye wasl ki rut hai ki judai ka hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaban kahin ka
kar de na ise gharq koi naddi kahin ki
KHud ko jo samajh baiTha hai bhagwan kahin ka
ek harf bhi tahrif-zada ho to dikhae
le aae uTha kar koi quran kahin ka
mahbub nagar ho ki ghazal gano ho 'raghib'
dastur-e-mohabbat nahin aasan kahin ka
Ghazal
ChhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka
Iftikhar Raghib