اردو हिंदी
ChhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain | Shaahi Shayari
chhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain

Ghazal

ChhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain

Zubair Rizvi

;

chhoD kar ghar ki faza ranaiyan pachhta gain
raston ki dhul mein aaraishen kajla gain

kis ne phaila di mere aangan mein chadar dhup ki
mere mahtabon ki sari suraten kumhla gain

apna tanha aks pa kar main ne kankar phenk di
sath-e-sahil par kai parchhaiyan lahra gain

muddaton ke baad ji chaha tha chhat par soiye
raat pahlu mein na leTi thi ki bunden aa gain

kucha kucha kaTte phirte hain yaadon ka likha
dil ko jaane kya teri ruswaiyan samjha gain

dur tak koi na aaya un ruton ko chhoDne
baadalon ko jo dhanak ki chuDiyan pahna gain

sham ki dahliz par Thahri hui yaaden 'zubair'
gham ki mehrabon ke dhundle aaine chamka gain