chhoD kar chal diya ghurbat mein wahi dil mujh ko
ek hamdard mila tha jo ba-mushkil mujh ko
ab siwa gham nahin kuchh zist ka hasil mujh ko
KHauf-e-girdab na darkar hai sahil mujh ko
dil bhi qassam-e-azal ne wo diya qismat se
jis ne duniya mein na rakkha kisi qabil mujh ko
mujh ko kya gham jo hain tarik adam ke raste
dagh-e-dil honge charagh-e-rah-e-manzil mujh ko
manzilen ishq ki mushkil thin KHatarnak bhi thin
mil gaya dil sa magar rahbar-e-kaamil mujh ko
hasrat-o-yas-o-alam rah gae bairun-e-lahad
qafile walon ne chhoDa sar-e-manzil mujh ko
fikr kuchh sher-o-suKHan ki bhi karun main 'shoala'
den jo fursat kabhi afkar-o-mashaghil mujh ko
Ghazal
ChhoD kar chal diya ghurbat mein wahi dil mujhko
Shola Kararvi