اردو हिंदी
ChhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega | Shaahi Shayari
chhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega

Ghazal

ChhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega

Hakeem Manzoor

;

chhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega
wahm tha mera ki patthar aaina ho jaega

main baDa masum tha mujh ko KHabar bilkul na thi
mere chhu lete hi wo mera KHuda ho jaega

daera-dar-daera hai sabz jangal surKH aag
kab hawa jage ye manzar kab hawa ho jaega

be-murawwat raston se be-KHabar shayad hai wo
phir kahin par mera us ka samna ho jaega

sat rangon ki jabin par wo likhega apna nam
jab wo apne rang ka aks aashna ho jaega

aaftab us raaz se na-ashna shayad nahin
qaid-e-mehwar se kisi din ye riha ho jaega

hath mein le kar qalam 'manzur' ye socha nahin
karobar-e-lafz mein kya faeda ho jaega