اردو हिंदी
ChhoD kar apni zamin apna samundar sain | Shaahi Shayari
chhoD kar apni zamin apna samundar sain

Ghazal

ChhoD kar apni zamin apna samundar sain

Nazar Siddiqui

;

chhoD kar apni zamin apna samundar sain
main bahut dur se aaya hun tere ghar sain

koi beri bhi nahin kanch ka bartan bhi nahin
phir mere sahn mein kyun aate hain patthar sain

barf ki god mein palte hue KHamosh chinar
ghair mausam mein sulag uThte hain aksar sain

phul ban jate hain hathon mein mere bachchon ke
meri TuTi hui diwar ke patthar sain

ho gain shahr ki saDken to kushada bhi magar
ab kahan jaen ye footpath ke bistar sain

main to poras ki tarah jang laDa aur haara
tu bina jang hi ban baiTha sikandar sain

le ke aaya hai azal hi se 'nazar-siddiqi'
TuTe kae ki tarah apna muqaddar sain