chhoD kar aise gaya hai chhoDne wala mujhe
dosto us ne kahin ka bhi nahin chhoDa mujhe
bol-baala is qadar KHamoshiyon ka hai yahan
kaTne ko dauDta hai mera hi kamra mujhe
han wahi taswir jo khinchi thi main ne sath mein
han wahi taswir kar jati hai ab tanha mujhe
baat to ye baad ki hai kuchh banunga ya nahin
kuza-gar tu chaak pe to raqs karwata mujhe
bas isi ummid pe hota gaya barbaad main
gar kabhi bikhra to aa kar tu sambhaalega mujhe
aaThwin shab bhi mahz kuchh ghanTon ki mehman hai
gar manana hota to ab tak mana leta mujhe
Ghazal
ChhoD kar aise gaya hai chhoDne wala mujhe
Aks samastipuri