chhoD har ek ko bura kahna
aisi surat pe tujh ko kya kahna
be-wafaon ko ba-wafa kahna
aap ki baat wah kya kahna
tum ne kya aib hum mein dekha hai
dekho achchha nahin bura kahna
main ne kya kya kaha hai logon se
ek bar aur phir zara kahna
jaante kab hain mujh ko apna dost
mante kab hain wo mera kahna
mujh ko ghusse se dekh kar na ruko
dil mein jo kuchh bhi aa gaya kahna
main mohabbat mein kya karun insaf
koi insaf se zara kahna
aap ko aaj tak nahin aaya
waqia sab se ek sa kahna
KHub naqlen utarte hain aap
aafrin wah wah kya kahna
kya kaha main kabhi nahin sunta
aur phir us pe aap ka kahna
un ko kahna salam ai qasid
aur darban ko dua kahna
ai safi' hai abhi to dilli dur
kaun kahta hai aa gaya kahna

Ghazal
ChhoD har ek ko bura kahna
Safi Aurangabadi