chhoD dun shahr tera chhoD dun duniya teri
mujh ko malum na tha kya hai tamanna teri
main andhere mein nahin din ke ujale mein luTa
ab kise DhunDhe hai sham-e-ruKH-e-zeba teri
jab koi pas-e-murawwat se karam karta hai
yaad aati hai bahut ranjish-e-be-ja teri
pai-ba-pai sath chhuTa jata hai ek duniya ka
dam-ba-dam yaad chali aati hai goya teri
daman-o-dast-e-rasa baat KHuda-saz to hai
na-rasai bhi mashiyyat hai KHudaya teri
munhadim ho gai diwar-e-dil-e-diwana
meri qismat mein thi taswir-e-shikasta teri
tar-tar-e-nafas-e-jaan mein tera naghma hai
pairahan mein hai abhi bu-e-shanasa teri
ghazal-e-'shaz' hai sadqa teri ranai ka
rag-e-har-sher mein hai mauj-e-sarapa teri
Ghazal
ChhoD dun shahr tera chhoD dun duniya teri
Shaz Tamkanat