chheDte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal
jhuTe sachche koi kar le ahd-o-paiman aaj-kal
ghonT de mera gala kuchh zor agar us ka chale
hath se mere hi tang itna gareban aaj-kal
chaDh gae diwar-e-zindan par kabhi utre kabhi
hum bane hain saya-e-diwar-e-zindan aaj-kal
rose raaton ko suna karta hun ye aawaz-e-qais
phaDe khata hai mujhe KHali bayaban aaj-kal
ai urus-e-tegh kuchh tujh ko haya bhi chahiye
kyun gale paDti hai tu ho ho ke uryan aaj-kal
sang-dil kafir ka shayad TuTte dekha hai kufr
TuT kar milte hain mujh se is ke darban aaj-kal
aa gaya aisa hi ab kafir zamana kya karen
dabe phirte hain baghal mein log iman aaj-kal
raat-din hai meri turbat par hasinon ka hujum
dekhne ki chiz hai gor-e-ghariban aaj-kal
din ko roza id shab ko hai ajab shaghl-e-'riyaz'
raat-bhar pita hai ye mard-e-musalman aaj-kal
Ghazal
ChheDte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal
Riyaz Khairabadi