اردو हिंदी
ChheDa zara saba ne to gulnar ho gae | Shaahi Shayari
chheDa zara saba ne to gulnar ho gae

Ghazal

ChheDa zara saba ne to gulnar ho gae

Bashar Nawaz

;

chheDa zara saba ne to gulnar ho gae
ghunche bhi mah-jamalon ke ruKHsar ho gae

wo log jin ki dasht-nawardi ki dhum thi
muddat hui ki sang-e-dar-e-yar ho gae

sadiyon ka gham simaT ke dilon mein utar gaya
hum log zindagi ke gunahgar ho gae

zulfon ki tarah pahle bhi baadal hasin the
Doli pawan to aur trahdar ho gae