اردو हिंदी
ChheD manzur hai kya aashiq-e-dil-gir ke sath | Shaahi Shayari
chheD manzur hai kya aashiq-e-dil-gir ke sath

Ghazal

ChheD manzur hai kya aashiq-e-dil-gir ke sath

Nizam Rampuri

;

chheD manzur hai kya aashiq-e-dil-gir ke sath
KHat bhi aaya kabhi to ghair ki tahrir ke sath

go ki iqrar ghalat tha magar ek thi taskin
ab to inkar hai kuchh aur hi taqrir ke sath

pech qismat ka ho to kya kare is mein koi
dil ko wabastagi hai zulf-e-girah-gir ke sath

wo bhi kahte hue kuchh dur tak aae pichhe
hum jo us bazm se nikle bhi to tauqir ke sath

ye bhi ek wasl ki surat thi magar rashk-e-nasib
us ki taswir kabhi ghair ki taswir ke sath

wada-e-subh pe ab kis ko yaqin ho qasid
aaj to jaan gai nala-e-shab-gir ke sath

kaho ranjish ka sabab kuchh nahin meri hi suno
uzr to chahiye karna mujhe taqsir ke sath

aap dete hain aziyyat hi shikayat ki ewaz
kuchh zaban se bhi to farmaiye tazir ke sath

dekhiye mil hi gaya aap se wo shoKH 'nizam'
kaam jo kuchh kare insan sau tadbir ke sath