chheD ke saz-e-zargari KHalq-e-KHuda hai raqs mein
yun ki tamam shahr hi Dub chala hai raqs mein
ye jo nasha hai raqs ka ek meri zat tak nahin
kuza-ba-kuza gil-ba-gil sath KHuda hai raqs mein
koi kisi se kya kahe koi kisi ki kyun sune!
sab ki nazar hai tal par sab ki ana hai raqs mein
husn ki apni ek numu ishq ki apni hao-hu
ek hawa hai rang mein ek hawa hai raqs mein
kaun ye kah ke chal diya ho teri bastiyon ki KHair
aaj hawa bhi tez hai aur diya hai raqs mein
koi sawad-e-waqt par koi surud-e-zat tak
panw hai sab ka ek sa phir bhi juda hai raqs mein
burj-e-shahi se dekhna aise fishaar-e-waqt mein
KHak-ba-sar ghazal-ba-lab kaun gada hai raqs mein
Ghazal
ChheD ke saz-e-zargari KHalq-e-KHuda hai raqs mein
Razi Akhtar Shauq