chhattis sal ka bhi sannyas chhin kar
ye kaun le gaya mera ban-bas chhin kar
ai shah-e-karbala meri imdad ko ab aa
KHush hai ghanim mujh se meri pyas chhin kar
saya na ho to dhup jalati hai jism ko
tum kya karoge dharti se aakas chhin kar
jine ki jo umang thi wo bhi nahin rahi
be-as kar gaya koi har aas chhin kar
tum ne bujhai bajti hui bansiyon ki kuk
mujh se mere wajud ke taT tas chhin kar
kuchh to bata main tera gunahgar kab hua
kyun aatma ko bhrashT kiya mas chhin kar
matam-kunan hain sare asatiri waqiye
tanha qalam ko kar diya qirtas chhin kar
rawan ne phir juda kiya sita ko ram se
phir kalpana bujhai gai qayas chhin kar
sanjog jug janam ke hue qata alwidaa
ban ko jalaya aag ne bu bas chhin kar
Ghazal
Chhattis sal ka bhi sannyas chhin kar
Nasir Shahzad