chhatri laga ke ghar se nikalne lage hain hum
ab kitni ehtiyat se chalne lage hain hum
is darja hoshiyar to pahle kabhi na the
ab kyun qadam qadam pe sambhalne lage hain hum
ho jate hain udas ki jab dopahar ke baad
suraj pukarta hai ki Dhalne lage hain hum
aisa nahin ki barf ki manind hon magar
lagta hai yun ki jaise pighalne lage hain hum
aaina dekhne ki zarurat na thi koi
KHud jaante the hum ki badalne lage hain hum
is ka yaqin aaj bhala kis ko aaega
ek dhimi dhimi aanch mein jalne lage hain hum
sach puchhiye to is ki hamein KHud KHabar nahin
mausam badal gaya ki badalne lage hain hum
Ghazal
Chhatri laga ke ghar se nikalne lage hain hum
Wali Aasi