chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi
sahar se sham talak bahr-o-bar pe dhup rahi
bahut dinon se jo baadal idhar nahin aae
daraKHt sukhe rahe rahguzar pe dhup rahi
kuchh aise waqt pe nikle the apne ghar se hum
jahan jahan bhi gae apne sar pe dhup rahi
ghurub ho gaya suraj magar fazaon mein
wahi tapish hai ki jaise nagar pe dhup rahi
rawish rawish pe raha aaftab ka saya
jahan-e-ghuncha-o-barg-o-samar pe dhup rahi
araq araq hai jabin pairahan pasina hai
bashar hi jaane ki kaisi bashar pe dhup rahi
jahan-e-karb-o-bala hum ko yaad aaya hai
kuchh aisi ab ke hamare nagar pe dhup rahi
rawan-dawan hamein phirna tha dasht-e-ghurbat mein
kabhi jo ghar mein rahe hain to ghar pe dhup rahi
usi parinde ki surat hamein bhi jina tha
jo din ko uDta raha baal-o-par pe dhup rahi
tamam din mujhe suraj ke sath chalna tha
mere sabab se mere ham-safar pe dhup rahi
yahi to soch ke 'iqbaal' ko nadamat hai
shajar ke sae mein hum aur shajar pe dhup rahi
Ghazal
Chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi
Iqbal Umar