اردو हिंदी
ChhaTi hai rah se gard-e-malal mere liye | Shaahi Shayari
chhaTi hai rah se gard-e-malal mere liye

Ghazal

ChhaTi hai rah se gard-e-malal mere liye

Hamdam Kashmiri

;

chhaTi hai rah se gard-e-malal mere liye
ki jhumti hai hawa Dal Dal mere liye

hua hai kya karun jina muhaal mere liye
mere hi shahr se mujh ko nikal mere liye

koi bhi kaam nahin ho saka hai fursat mein
ki kam paDe hain bahut mah-o-sal mere liye

wo kaun hai jo meri aarti utarega
saja ke rakkha hai kis ne ye thaal mere liye

main phunk phunk ke chalta hun rah mein us ki
qadam qadam pe bichhae hain jal mere liye

kahin pe ho gae pazhmurda phul aangan mein
hua hai sabza kahin paemal mere liye

khula ye raaz rihai ke baad hi mujh par
banaya us ne mujhe yarghamal mere liye

mera dimagh hai mauf dil udas bahut
hua hai jism bhi mera niDhaal mere liye

hue hain raste masdud kyun mere 'hamdam'
junub mere liye tha shumal mere liye