chhaTe ghubar nazar baam-e-tur aa jae
piyo sharab ki chehre pe nur aa jae
uThao jam ba-nam-e-hayat baada-kasho
nazare jhumen nazar ko surur aa jae
sharab-KHane mein kausar ka zikr kya kahiye
kisi ki aql mein jaise futur aa jae
tamam zohd-o-riyazat ho gharq-e-mauj-e-sharab
jo mai-kade mein wo shaida-e-hur aa jae
maqam-e-dar se guzro to zindagi pao
piyo jo zahr-e-halahal surur aa jae
nigah tez nafas garm aarzu bebak
jise ho naz hamare huzur aa jae
ye karobar-e-mashiyyat bhi KHub hai 'taban'
kisi pe barq gire zad pe tur aa jae
Ghazal
ChhaTe ghubar nazar baam-e-tur aa jae
Taban Ghulam Rabbani