chhaTa ghubar to aankhon mein bhar gaya pani
zara si der mein sar se guzar gaya pani
na tha KHayal ki chhat bhi hai aasman jaisi
taDap rahe the ki jaane kidhar gaya pani
labon pe harf-e-dua rakh ho gaya lekin
dilon mein zaKHm ki surat utar gaya pani
ek e'tibar si diwar-e-ab hai har-su
mere wajud ko zanjir kar gaya pani
wo bhiga jism wo pairahan-e-haya ki shafaq
phir ek gulab ko shadab kar gaya pani
Ghazal
ChhaTa ghubar to aankhon mein bhar gaya pani
Murtaza Ali Shad