chhat ki kaDiyan jaanch le diwar-o-dar ko dekh le
mujh ko apnane se pahle mere ghar ko dekh le
chand lamhon ka nahin ye umr bhar ka hai safar
rah ki paDtal kar le rahbar ko dekh le
apni chadar ki tawalat dekh kar panw pasar
bojh sar par ladne se qabl sar ko dekh le
ek harakat se badal jata hai lafzon ka mizaj
apni har tahrir mein zer-o-zabar ko dekh le
jaanib-e-bazar patthar phenkne se peshtar
tu kisi 'sipra'-numa shorida-sar ko dekh le
Ghazal
Chhat ki kaDiyan jaanch le diwar-o-dar ko dekh le
Tanveer Sipra