chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin
nigah-e-nargis-e-rana tera jawab nahin
zamin jag rahi hai ki inqalab hai kal
wo raat hai koi zarra bhi mahw-e-KHwab nahin
hayat-e-dard hui ja rahi hai kya hoga
ab is nazar ki duaen bhi mustajab nahin
zamin us ki falak us ka kaenat us ki
kuchh aisa ishq tera KHanuman-KHarab nahin
abhi kuchh aur ho insan ka lahu pani
abhi hayat ke chehre par aab-o-tab nahin
jahan ke bab mein tar damanon ka qaul ye hai
ye mauj marta dariya koi sarab nahin
dikha to deti hai behtar hayat ke sapne
KHarab ho ke bhi ye zindagi KHarab nahin
Ghazal
Chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin
Firaq Gorakhpuri