chhanw afsos daimi na rahi 
dhup ka kya rahi rahi na rahi 
aasra chhin gaya hai jine ka 
aas thi jo rahi-sahi na rahi 
ho gaya KHwab phul sa chehra 
shaKH-e-dil bhi hari-bhari na rahi 
bah gae aansuon ke dariya mein 
aap ki baat yaad hi na rahi 
ek udasi thi raat thi hum the 
aur phir hajat-e-KHushi na rahi 
mashwara jas ka tas raha lekin 
mashwaron ki kabhi kami na rahi 
waqia jo hua hua lekin 
dastan aap se juDi na rahi 
un ilaqon mein kya raha sahib 
jin ilaqon mein shaeri na rahi 
ek tamanna thi teri mahfil mein 
kyun rahen hum agar wahi na rahi
        Ghazal
Chhanw afsos daimi na rahi
Irshad Khan ’Sikandar’

