chhane honge sahra jis ne wo hi jaan saka hoga
miTTi mein hum jaise mile hain kam koi KHak hua hoga
ulTe sidhe girte-paDte chal paDte hain is liye hum
manzil par le jaane wala koi to naqsh-e-pa hoga
itni saj-dhaj se jo chale the qafile wo hain Thahar gae
hoga hawa-e-sahra jaisa aage jo bhi gaya hoga
kuchh hone se an-hone se farq to paDne wala nahin
ho nahin paya ab tak kuchh bhi hoga bhi to kya hoga
muD ke jo aa nahin paya hoga us kuche mein ja ke 'zafar'
hum jaisa be-bas hoga hum jaisa tanha hoga
Ghazal
Chhane honge sahra jis ne wo hi jaan saka hoga
Sabir Zafar