chhai hai qayamat ki ghaTa dekhiye kya ho
barse to barasne ki ada dekhiye kya ho
khul khul ke sabhi phul to masrur hain lekin
masmum hai gulshan ki faza dekhiye kya ho
phir josh mein hain aaj mere madd-e-muqabil
hai meri wafa un ki jafa dekhiye kya ho
sar joD ke baiThe hain sabhi sulh ki KHatir
hain un ke KHayalat juda dekhiye kya ho
tufan hawadis mein jalane to chala hun
ek mehr-o-uKHuwwat ka diya dekhiye kya hu
haq baat bhi arbab-e-adalat ko khali hai
izhaar-e-haqiqat ki saza dekhiye kya ho
sahra-e-tajassus mein talash apni hai 'kausar'
kuchh yaad nahin apna pata dekhiye kya ho
Ghazal
Chhai hai qayamat ki ghaTa dekhiye kya ho
Kausar Siwani