chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal
ab ke sawan bhi gaya mujh pe na barsa baadal
sip bujhte hue suraj ki taraf dekhte hain
kaisi barsat meri jaan kahan ka baadal
wo bhi din the ki Tapakta tha chhaton se pahron
ab ke pal bhar bhi munDeron pe na Thahra baadal
farsh par gir ke bikharta raha pare ki tarah
sabz baghon mein mere baad na jhula baadal
lakh chaha na mili pyar ki pyasi aaghosh
ghar ki diwar se sar phoD ke roya baadal
aaj ki shab bhi jahannam mein sulagte hi kaTi
aaj ki shab bhi to botal se na chhalka baadal
Ghazal
Chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal
Nashtar Khaanqahi