chehron pe likha hai koi apna nahin milta
kya shahr hai ek shaKHs bhi jhuTa nahin milta
chahat ki qaba mein to badan aur jalenge
sahra ke shajar se koi dariya nahin milta
main jaan gaya hun teri KHushbu ki raqabat
tu mujh se mile to gham-e-duniya nahin milta
zulf-o-lab-o-ruKHsar ke aazar to bahut hain
TuTe hue KHwabon ka masiha nahin milta
main apne KHayalon ki thakan kaise utarun
rangon mein koi rang bhi gahra nahin milta
Dube hue suraj ko samundar se nikalo
sahil ko jalane se ujala nahin milta
Ghazal
Chehron pe likha hai koi apna nahin milta
Jazib Quraishi