chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte
kya log hain zaKHmon ki himayat nahin karte
zanjir ki jhankar se aabaad hain zindan
hum lazzat-e-guftar ki hasrat nahin karte
KHush-rang ujalon ki barasti hui bunden
girti hui diwar se nafrat nahin karte
patthar ki fasilon mein unhen nasb kiya jae
jo apni riwayat se baghawat nahin karte
wo meri talab ho ki tera lams-e-badan ho
nashshe kabhi andaza-e-wahshat nahin karte
Ghazal
Chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte
Jazib Quraishi