اردو हिंदी
Chehron ko be-naqab samajhne laga tha main | Shaahi Shayari
chehron ko be-naqab samajhne laga tha main

Ghazal

Chehron ko be-naqab samajhne laga tha main

Asghar Mehdi Hosh

;

chehron ko be-naqab samajhne laga tha main
sab ko khuli kitab samajhne laga tha main

jalna hi chahiye tha mujhe aur jal gaya
angaron ko gulab samajhne laga tha main

ye kya hua ki nind hi aankhon se uD gai
kuchh kuchh zaban-e-KHwab samajhne laga tha main

apni hi raushni se nazar kha gai fareb
zarron ko aaftab samajhne laga tha main

phir kyun saza-e-tishna-labi di gai mujhe
pani ko bhi sharab samajhne laga tha main

buniyaad apne ghar ki fazaon mein Dal di
basti ko zer-e-ab samajhne laga tha main

mujh se hi ho gai hai sawal-e-wafa ki bhul
duniya ko la-jawab samajhne laga tha main