chehron ki dhup aankhon ki gahrai le gaya
aaina sare shahr ki binai le gaya
Dube hue jahaz pe kya tabsira karen
ye hadisa to soch ki gahrai le gaya
haalanki be-zaban tha lekin ajib tha
jo shaKHs mujh se chhin ke goyai le gaya
main aaj apne ghar se nikalne na paunga
bas ek qamis thi jo mera bhai le gaya
'ghaalib' tumhaare waste ab kuchh nahin raha
galiyon ke sare sang to saudai le gaya
Ghazal
Chehron ki dhup aankhon ki gahrai le gaya
Rahat Indori