chehre shadabi se aari aankhen nur se KHali hain
kis ke aage hath baDhaun sare hath sawali hain
mujh se kis ne ishq kiya hai kaun mera mahbub hua
mere sab afsane jhuTe sare sher KHayali hain
chand ka kaam chamakte rahna us zalim se kya kahna
kis ke ghar mein chandni chhiTki kis ki raaten kali hain
'sahba' us kuche mein na jaana shayad patthar ban jao
dekho us sahir ki galiyan jadu karne wali hain
Ghazal
Chehre shadabi se aari aankhen nur se Khaali hain
Sahba Akhtar