chehre pe us ke ashk ki tahrir ban gai
wo aankh mere dard ki tafsir ban gai
main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan
dekha jo ghaur se teri taswir ban gai
har samt hain kaTi paDi phulon ki gardanen
ab ke saba hi bagh mein shamshir ban gai
us ki nazar to kahti thi parwaz ke liye
meri hi soch panw ki zanjir ban gai
jis samt wo uThi hai udhar muD gai hayat
us ki nazar hi gardish-e-taqdir ban gai
Ghazal
Chehre pe uske ashk ki tahrir ban gai
Saleem Betab