chehre pe na ye naqab dekha
parde mein tha aaftab dekha
kyun kar na bikun main hath us ke
yusuf ki tarah main KHwab dekha
kuchh main hi nahin hun, ek aalam
us ke liye yan KHarab dekha
dil tu ne abas likha tha nama
jo un ne diya jawab dekha
be-jurm o gunah qatl-e-ashiq
mazhab mein tere sawab dekha
kuchh howe to ho adam mein rahat
hasti mein to hum azab dekha
jis chashm ne mujh taraf nazar ki
us chashm ko main pur-ab dekha
hairan wo tere ishq mein hai
yan hum ne jo shaiKH o shab dekha
bhula hai wo dil se lutf us ka
'sauda' ne ye jab itab dekha
Ghazal
Chehre pe na ye naqab dekha
Sauda Mohammad Rafi