اردو हिंदी
Chehre pe koi rang shikayat ka nahin tha | Shaahi Shayari
chehre pe koi rang shikayat ka nahin tha

Ghazal

Chehre pe koi rang shikayat ka nahin tha

Nasir Rao

;

chehre pe koi rang shikayat ka nahin tha
lekin wo tabassum hi mohabbat ka nahin tha

chhoDa bhi mujhe aur bahut KHush bhi rahe ho
afsos ke main aap ki aadat ka nahin tha

waqton ke siyah rang se zarron pe likha hai
duniya mein koi daur sharafat ka nahin tha

ab sar ko paTakne se koi faiz nahin hai
marne ka taqaza tha wo hijrat ka nahin tha

darbar bhi tha sahab-e-kirdar bhi lekin
adna sa koi jazb-e-saKHawat ka nahin tha