chehre makan rah ke patthar badal gae
jhapki jo aankh shahr ke manzar badal gae
shahron mein hansti khelti chalti rahi magar
jangal mein baad-e-subh ke tewar badal gae
han is mein kaamdew ki koi KHata nahin
raste wafa ke saKHt the dilbar badal gae
wo aandhiyan chali hain sar-e-dasht aarzu
dil bujh gaya wafaon ke mehwar badal gae
phuTi kiran to jag uThi zindagi 'fuzail'
sunsan raston ke muqaddar badal gae

Ghazal
Chehre makan rah ke patthar badal gae
Fuzail Jafri