chehre ko bahaal kar raha hun
duniya ka KHayal kar raha hun
ek kar-e-muhaal kar raha hun
zinda hun kamal kar raha hun
wo gham jo abhi mile nahin hain
main un ka malal kar raha hun
ashaar bhi dawat-e-amal hain
taqlid-e-bilal kar raha hun
taswir ko aaina bana kar
tashrih-e-jamal kar raha hun
chehre pe jawab chahta hun
aankhon se sawal kar raha hun
kuchh bhi nahin dastaras mein 'sarshaar'
kyun fikr-e-maal kar raha hun
Ghazal
Chehre ko bahaal kar raha hun
Sarshar Siddiqui