chehre jitne rup badalta rahta hai
aaine mein naqs nikalta rahta hai
zehn pe baDhta jata hai sadiyon ka dabaw
lamha kaise karb mein Dhalta rahta hai
dil hi nahin raushan to din kya niklega
suraj to tariKH badalta rahta hai
yaadon tanhai se baaten karti hain
sannaTa aawaz badalta rahta hai
ek lamhe ki haqiqat tak jaane ke liye
KHwab kai sadiyon tak chalta rahta hai
Ghazal
Chehre jitne rup badalta rahta hai
Zaka Siddiqui