اردو हिंदी
Chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad | Shaahi Shayari
chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad

Ghazal

Chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad

Zafar Gorakhpuri

;

chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad
hum ne jine ka gur jaana zahr ke istimal ke baad

kis ko KHabar thi muKHtari mein honge wo itne majbur
hum apne se sharminda hain un se arz-e-haal ke baad

apne siwa apne rishte mein aur bhi kuchh duniyaen thin
hum ne apna haal likkha lekin digar ahwal ke baad

aankhen yun hi bhig gain kya dekh rahe ho aankhon mein
baiTho sahab kaho suno kuchh mile ho kitne sal ke baad

toDe kitne aaine aur chhan liye kitne aafaq
koi na manzar aankh mein Thahra us ke aks-e-jamal ke baad

naqsh-gari ka buta ho to dhup chhanw mein rang bahut
chehra KHud ban jaega teDhi-meDhi ashkal ke baad