chehra-e-zindagi nikhar aaya
jab kabhi hum ne jam chhalkaya
sham-e-hijran bhi ek qayamat thi
aap aae to mujh ko yaad aaya
rang phika paDa wafaon ka
aaj kuchh is tarah wo sharmaya
yun to be-chainiyan muqaddar thin
teri qurbat ne aur taDpaya
kya qayamat wo kam-nigahi thi
har haqiqat ko jis ne jhuThlaya
kya hui wo dilon ki masumi
husn ruTha na ishq pachhtaya
hae kis kis maqam par dil ko
us uchaTti nazar ne bhaTkaya
KHud-shanasi thi justuju teri
tujh ko DhunDa to aap ko paya
'naqsh' aankhon mein aa gae aansu
aaj aise mein kaun yaad aaya
Ghazal
Chehra-e-zindagi nikhar aaya
Mahesh Chandra Naqsh