chaunk uTTha hun tere lams ke ehsas ke sath
aa gaya hun kisi sahra mein nai pyas ke sath
tab bhi masruf-e-safar tha main abhi ki manind
ye alag baat ki chalta tha kisi aas ke sath
DhunDhta hun main koi tark-e-talluq ka jawaz
ab guzara nahin mumkin dil-e-hassas ke sath
ho raha hai asar-andaz meri KHushiyon par
umr ka rishta-e-derina jo hai yas ke sath
jism ke shish-mahal ki hai yahi umr janab
jab talak nibhti rahe tesha-e-anfas ke sath
Ghazal
Chaunk uTTha hun tere lams ke ehsas ke sath
Raghib Akhtar