اردو हिंदी
Chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae | Shaahi Shayari
chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae

Ghazal

Chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae

Jaan Nisar Akhtar

;

chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae
kaun deta hai ye galiyon mein sada raat gae

ye haqaeq ki chaTanon se tarashi duniya
oDh leti hai tilismon ki rida raat gae

chubh ke rah jati hai sine mein badan ki KHushbu
khol deta hai koi band-e-qaba raat gae

aao hum jism ki shamon se ujala kar len
chand nikla bhi to niklega zara raat gae

tu na ab aae to kya aaj talak aati hai
siDhiyon se tere qadmon ki sada raat gae